Tuesday, June 23, 2020

लव शायरी मोहब्बत - मेरी प्यार हो तुम (Meri pyaar ho tum)

MERI PYAAR HO TUM

                                                                                                                                                                    


Meri parchaya ho tum,
Meri andhere ka ujala ho tum,
Tapti dhoop samay meri saya ho tum,
Meri duaon ka mannat ho tum,
Andheri raath ke shashi ho tum,
Chah se bhi badkar meri chahat ho tum,
Meri duaon ka dher ho tum,
Meri mohabbat ki gawah ho tum,
Meri andhrooni sahas ki shakti ho tum,
Meri muskuraahat ka raaz ho tum,
Meri saans ka ehsas ho tum,
Meri pyaar ho tum.

मेरी परछाया हो तुम ,
मेरी अँधेरे का उजाला हो तुम ,
 ताप्ती धुप समय मेरी साया हो तुम ,
मेरी दुआओं का मन्नत हो तुम ,
अँधेरी रात के शशि हो तुम ,
छह से भी बढ़कर मेरी चाहत  हो तुम ,
मेरी दुआओं का ढेर हो तुम ,
मेरी मोहब्बत की गवाह हो तुम ,
मेरी अन्दरूनी सहस की शक्ति हो तुम ,
मेरी मुस्कुराहट का राज़ हो तुम ,
मेरी सांस का एहसास हो तुम ,
मेरी प्यार हो तुम। 





































Friday, June 5, 2020

Love shayari Romantic - Mile the tum humko

MILE THE TUM HUMKO



Mile the tum humko, chalte megh ki tarah,
Kaun jaanta tha ki, 
Chalta hua megh ek parchaya bankar reh jaaye,
Yeh kaun jaanta tha.


मिले थे तुम हमको , चलते मेघ की तरह ,
कौन जानता था कि ,
चलता हुआ मेघ एक दिन परछाया बनकर रह जाए ,
यह कौन जानता था। 

















Sunday, May 10, 2020

Love shayari deep feelings - चाहा है मैंने तुम्हे (Chaha hai meine tumhe)

CHAHA HAI MEINE TUMHE



Zindagi aur mauth se ladte hue,
 chaha hai meine tumhe,
Manzoor na ho tumhe agar,
Mauth ko mere hawale karne ,
kuch shan hi kafhi honge.


ज़िन्दगी और माउथ से लड़ते हुए ,
चाहा है मैंने तुम्हे ,
मंज़ूर न हो तुम्हे अगर ,
माउथ को मेरे हवाले करने ,
कुछ क्षण ही काफी होंगे। 





























Wednesday, May 6, 2020

Hindi Shayari-Tum Ho

TUM HO


Door se dekho toh andhera chaya hua hai yahan,
Magar kareeb se,
Shayad vo andhera, andhera nahi,
Balki tum ho.

दूर से देखो तोह अँधेरा छाया हुआ है यहाँ ,
मगर करीब से ,
शायद वो अँधेरा , अँधेरा नहीं ,
बल्कि तुम हो।  























Thursday, April 30, 2020

लव शायरी - Love Shayari in Hindi

SIRF TUMHARE LIYE


Haan! maana ki, apni duniya alag hai,
Maana ki apni gotr alag hai,
Maana ki apni seemayein alag hai,
Magar mera dil chahta hai toh sirf tumhe,
Mera dil dhadakta hai toh sirf tumhare liye.

हाँ! माना की ,अपनी दुनिया अलग है ,
माना की अपनी गोत्र अलग है ,
माना की अपनी सीमाएं अलग है ,
मगर मेरा दिल चाहता है तो सिर्फ तुम्हे ,
मेरा दिल धड़कता है तो सिर्फ तुम्हारे लिए। 



















Monday, April 27, 2020

Hindi shayari- Saath Hum

SAATH HUM


Khwab bhi tum, ishq bhi tum,
Zindagi bhi tum,maut bhi tum,
Kadam se kadam milaakar saath chale the hum,
Mauth ko gale lagaein toh bhi,saath hum.

खाव्ब भी तुम ,इश्क़ भी तुम ,
ज़िन्दगी भी तुम ,मौत भी तुम ,
कदम से कदम मिलाकर साथ चले थे हम ,
माउथ को गले लगाएं  हम। 
















Monday, April 20, 2020

Hindi Shayari-Dar Lagta Hai

DAR LAGTA HAI


Dar lagta hai mujhe,unn logon ke baton se,
Dar lagta hai, samaaj ke unn rivajon se,
Ghid-ghidata hai mera dil,cheekta hai,
Yun jese koi gardan kaat raha ho,
Muskurata hua yeh chehra aaj,
Rootha sa kyun hai,koi pata nahi,
Manane ko na koi aage mere,
Chod gaye sabh mujhe peeche,
Chal gaye yun apne-apne raastein,
Jese mera unse na koi vaasta,
Jab sahare ki zaroorat padi,
Toh sabhi nazarandaaz kar gaye,
Aree!esa kya kardiya mene,
Jo mein mooh dikhane laayak na rahi,
Duniya ke nazron mein,
Khaas kar apno ke nazron mein,
Kise bataun,Kya bataun,
Mera dil yun raat ko kyun jaage,
Hasmukh sa yeh mera chehra,
Nadaan sa yeh mera ji,kyun taras raha hai,
Kiss baat ki ghin hai,aur kiss baat ka bhoj,
Iska koi khata nahi,
Kese bayan karoon mein,
Mere aansuon ka raaz kya hai,
Bhaari sa mann,Ghumsum si baatein,
Yahi ab mera rozaana hai.






















Thursday, April 16, 2020

Hindi Shayari- Haan Vo Ladki Hai

HAAN VO LADKI HAI


Vo choti si gudiya,
Nanhi si pari,
Papa ki laadli,
Maa ka bharosa,
Magar duniya ke nazron mein,
Ek izzat,
Ghar ki maryada,
Ek galati hai,
Haan vo ladki hai,
Ghutno ke upar pehni skirt,
Zluf khule,
Dupatta na odhe hue,
Seena chouda karke,
Aankon mein aankh milaye,
Haan vo ladki hai,
Zindagi ke fhesle khud lete,
Samaaj se ladtein-jagadhtein,
Sahi raastein chunte,badhte,
Aur khatin raston par khud ko savaartein,manaatein,
Haan vo ladki hai,
Shaadi ke baad khud ke hi ghar mein,
Rishtedaar bankar aana,
Maa-baap ke maryada ke liye apne sacche pyaar ko kurbaan dena,
Kisi bhi namumkin kaam ko mumkin kar dikhana,
Bhaari sa dil lekar chalna aur theek hone ka dikhawa karna,
Haan vo ladki hai.
























Monday, April 13, 2020

Shayari on Life, Zindagi Shayari, Life Shayari

HAMARI ZINDAGI


Jab zindagi mein,Mohabbat karne wala koi nahi,
Toh zindagi se hi mohabbat karleni chahiye,
Zindagi ko gale lagaaein aur uska shukriya adha karein,
Kyunki asli naayak toh tum hi ho,
Kahaani tumhari jo hai,Na choone do tumhe koi,
Khud aapne zindagi ke lekhak bano,
Sapne dekho aur agar rukavatein aayi toh choka maaro,
Aur usse kaho ki yeh teri bas ki baat nahi,
Hamari zindagi,Hamari marzhi,
Dukh hamari,Chot hamari,
Darrar hamari,Tumhara koi hakh nahi,
Tumhare dhakalandaazi ki koi zaroorat nahi,
Haar ho ya jeet, Phaisla hamari,
Na jaane de ise bekaar,
Marte dum takh ji apni zindagi,
Na maan kabhi haar,
Teri hai yeh, Kisika koi hakh nahi.



























Friday, April 10, 2020

Hindi shayari on Zindagi

ZINDAGI


Azeeb hai na yeh zindagi bhi hamaari,
Udhti patang ko choone ki khvaab,
Chalte megh ke saath chalne ki khvaab,
Unn naadaan parindon ki tarah udhne ki khvaab,
Gagan ko choone ki iccha,
Badti daud ke saath badhne ki iccha,
Aasma mein panchi bankar ghoomne ki iccha,
Kai badhaon ka saamna karte hue bhi,
chehre par muskuraahat,
Ye cheez humse na hogi jaante hue bhi,
Usi par tikhe rehna,
Kab kiska saamna karna pade, koi pata nahi,
Kaun apna, Kaun paraaya,Koi khata nahi,
Yahi zindagi hai apni,
Zindagi ka asli matlab jaane se pehle hi, Kai rukaavatein,
Kaun sahi,Kaun galat,Kaun jootha, Kaun saccha,
Ka koi jaankaari na hote hue bhi sab par bharosa karne ki abhyaas,
Yaarion ka mail, par apna kehne laayak koi nahi,
Sapno ka dher lekar chalte hai hum,
Yeh haasil nahi hua toh koi shikaayat nahi,
Magar humse mumkin na hogi,
Yeh kehna nahi.
  





































Monday, April 6, 2020

Hindi shayari-Pyaar ki Junoon

PYAAR KI JUNOON


Zindagi ne toh sab kuch diya,
Kambhakt use pyaar ki junoon se,
Sodafha hamesha keliye door kardiya.

ज़िन्दगी ने तोह सब कुछ दिया ,
कम्भख्त उसे प्यार की जूनून से ,
सोदाफा हमेशा केलिए दूर करदिया। 


























Friday, April 3, 2020

Hindi shayari-Teri aanchal mein

TERI AANCHAL MEIN


Dard hai seene mein mere,
Hai apni yaadein kedh jinhmein,
Aashayein hai, Aazad panchi bankar, jeena hai mujhe,
Tere sangh,
Rehna hai mujhe tere sangh,
Bitani hai mujhe har ek pal teri bahon mein,
Kho jaun mein yu teri aanchal mein.

दर्द है सीने में मेरे ,
है अपनी यादें कैद जिन्हमें ,
आशाएं है ,आज़ाद पंछी बनकर, जीना है मुझे ,
तेरे संघ ,
रहना है मुझे तेरे संघ ,
बितानी है मुझे हर एक पल तेरी बाँहों में ,
खो जाऊँ में यु तेरी आँचल में। 
































Wednesday, April 1, 2020

Hindi Shayari on Friendship

MERI BEHAN


Maana ki tu meri saghi behan nahi,
 magar hai hum ek doosre ke humdard,
Hindi classes se shuru hui thi apni mulakaat, 
tum maano ya na maano, tum jesa koi nahi,
Jaanti ho kyun, kyunki duniya mein,
tum jesa pagal aur nautanki koi nahi,
Do saal tumhare saath,tumhari baatein, 
tumhari muskaan, tumhare saath bitaye pal, Wah! lajavaab,
Behan saath dena mera har haal,
 tumhare sangh rehne ki iccha hai mujhe,
Shuru shuru mein toh hum sirf naam ke dost bane,
Chalte chalte, kab apna yeh bandhan samundar ke gehrai ki tarah ban gaya,
pata hi nahi chala kabhi,
Khuda ka laakh laakh shukr hai,
Unhone mujhe ithni khoobsurat taufa di,
Kese shukriya karoon mein unka,
Duaen meri,mannat meri,tere liye,sirf tere liye.
HAPPY BIRTHDAY RJ, HAPPY BIRTHDAY.



















Tuesday, March 31, 2020

Hindi shayari-Kese jiya jaye tum bin

KESE JIYA JAYE TUM BIN


Kese jiya jaye tum bin,
Zindagi ka aadha hissa ban chuke ho jo tum,
Kuch adhoore khvaab lekar,
tumhari oor chalta hai mera dil,
Jee chuki hoon mein ab tumhare khayalon mein,
Chod gayi fharistein,nayi ummidon ka ghar mere seene mein,
Kaid hoon mein iss jhanjhat mein,
Le chal mujhe apni oor,door kahin ,
Teri aanchal mein.

कैसे जिया जाये तुम बिन ,
ज़िन्दगी का आधा हिस्सा बन चुके हो जो तुम ,
कुछ अधूरे ख़्वाब लेकर ,
तुम्हारी ओर चलता है मेरा दिल ,
जी चुकी हूँ मैं अब तुम्हारे ख्यालों में ,
छोड़ गयी फरिस्तें, नयी उम्मीदों  का घर मेरे सीने में ,
कैद  हूँ मैं इस झंझट में ,
ले चल मुझे अपनी ओर ,दूर कहीं ,
तेरी आँचल में। 















Monday, March 30, 2020

Hindi shayari- Duao mein yaad rakhna

DUAO MEIN YAAD RAKHNA


Duao mein yaad rakhna,
kya pata unn duao mein
mera naam likha ho.

दुआओ में याद रखना ,
क्या पता उन् दुआओ में 
मेरा नाम लिखा हो। 








Saturday, March 28, 2020

Hindi shayari-Hai yeh mera vaada

HAI YEH MERA VAADA


Saath denge hum tumhara,
hai yeh mera vaada,
Na chodenge tumhara haath kabhi,
har haal,hai yeh mera vaada,
Zindagi ko jiyenge hum,saath tumhare,
Chalenge hum kadam-se-kadam milaakar, 
hatho mein haath thame,zindagi ke har mode,
Tumhare saath.

साथ देंगे हम तुम्हारा ,
है यह मेरा वादा ,
न छोड़ेंगे तुम्हारा हाथ कभी ,
हर हाल ,है यह मेरा वादा,
ज़िन्दगी को जियेंगे हम ,साथ तुम्हारे ,
चलेंगे हम कदम-से-कदम मिलाकर,
हाथो में हाथ थामे ,ज़िन्दगी के हर मोड ,
तुम्हारे साथ। 












Friday, March 27, 2020

Hindi shayari- Mere mohabbat ki gawah hai

MERE MOHABBAT KI GAWAH HAI


Tumhare aansun hi 
mere mohabbat ki gawah hai,
Tumhare lafzon se nikli yeh shabd 
toh sirf dikhawa hai.

तुम्हारे आँसूं ही 
मेरे मोहब्बत की गवाह है ,
तुम्हारे लफ़्ज़ों से निकली यह शब्द 
तोह सिर्फ दिखावा है। 




















Thursday, March 26, 2020

Hindi shayari- Mera dil tumhe chahta hai

MERA DIL TUMHE CHAHTA HAI

Kabhi socha na tha, 
ki mere chehre ko muskurana bhi aata hai,
Najaane kab mera dil tezi se dhadakta hai,
Mujhe pata hai toh sirf mera dil tumhe chahta hai.

कभी सोचा न था ,
की मेरे चेहरे को मुस्कुराना भी आता है ,
नजाने कब मेरा दिल तेज़ी से धड़कता है ,
मुझे पता है तोह सिर्फ मेरा दिल तुम्हे चाहता है। 























Wednesday, March 25, 2020

Hindi shayari on pyaar

PYAAR MEIN HO TUM


Haye! kya kar gaye ho tum,
Meri aankhon ki nindiyon se lekar,
Khwabon tak sama gaye ho tum,
Kho jaati hoon mein,na din na raath,
Sab ek kar gaye ho tum,
Bas ek shabdh ne kardiya tumhe meri zindagi
Kho chuki hoon mein ab apne aapko,
na sunti hoon mein kisiki,sirf tumhare sivaye,
Mere ho chuke ho tum,apna lagne lage ho tum,
Mera tera se lekar hamara pukarne lagi hoon mein ab,
Bolo toh kya hua hai mujhe ,poochti hoon mein aapne aapse,
Toh dheere se aawaz aata hai, pyaar mein ho tum,
Bas, yahi sunna tha na tumhe mujhse.


हाय! क्या कर गए हो तुम ,
मेरी आँखों की निनंदियों से लेकर ,
ख्वाबों तक समां गए हो तुम ,
खो जाती हूँ मैं ,न दिन न रात ,
सब एक कर गए हो तुम,
बस एक शब्द ने करदिया तुम्हे मेरी ज़िन्दगी ,
खो चुकी हूँ मैं अब अपने आपको ,
न सुनती हूँ मैं  किसीकी ,सिर्फ तुम्हारे सिवाए ,
मेरे हो चुके हो तुम ,अपना लगने  लगे हो तुम ,
मेरा तेरा से लेकर हमारा पुकारने लगी हूँ मैं अब ,
बोलो तोह क्या हुआ है मुझे ,पूछती हूँ मैं अपने आपसे ,
तोह धीरे से आवाज़ आता है ,प्यार में हो तुम,
बस , यही सुन्ना था न तुम्हे मुझसे। 






























Tuesday, March 24, 2020

Hindi shayari-Tumhari bahon mein

TUMHARI BAHON MEIN


Wakt  ka na koi ata-pata,
Chale hum zindagi se door ,
Rahe hum tumhari bahon mein,
Din-raath ka koi kher nahi,
Tumhari mohabbat ka koi seema nahi,
Jannat hai tumhari mulakaat mujhe,
Mannat mein mangi hai maine tujhe.


वक्त का न कोई अता -पता,
चले हम  ज़िन्दगी से दूर ,
रहे हम तुम्हारी बाँहों में,
दिन -रात का कोई खेर नहीं,
तुम्हारी मोहब्बत का कोई सीमा नहीं,
जन्नत है तुम्हारी मुलाकात मुझे ,
मन्नत में मांगी है मैंने तुझे। 



















Monday, March 23, 2020

Hindi shayari on women

HAAN MEIN LADKI HOON


Samaaj kya kahega,log kya kahenge,tum muh dikhane layak nahi rahogi,log tum par hasenge,
ladki ho tum esa kaam kese kar sakti ho, Yaar bas bhi karo. Saans lene hi wali thi mein, lekin nahi, zindagi ne kaha ki tu ladki hai, yeh teri bas ki baat nahi. Abhi chutkara mil hi raha tha, sunne ko mila ki tumhari ladki, ladko wali harkat karti hai na,
Haan hoon mein ladki, magar hoon ek insaan hi toh,
Jeene ka hakh mujhe bhi hai,
Badne ka hakh mujhe bhi hai,
Naari ho mein, koi kaamwali nahi,
Sapne hai mere,koi khilona nahi,
Nayi ummidein hai mere, udhne ki,
Magar iss samaj mein khule aam jeene ka koi hakh nahi,
Sapno ka dher hai mere seene mein khedh,
dar lagta hai mujhe,sapne banne se pehle hi kahin vo lapata na hojaye,
Mera jeevan koi katputle jesa nahi,
mera jeevan hai, meri tarah,
Ghinn aati hai mujhe, taras aata hai mujhe, unn logon par, jinke paas apni zindagi se zyada meri zindagi ki parvah hai,
Phir dheere se aavaz aati hai aur mujhe kehti hai,
Ho tum ek ladki hi, magar uske saath kabiliyat, sahas aur dhayr ka dher hai tujhme,
Na jaane de ise khali haath,
Seena fhadke aaj keh hi de,
Haan mein ladki hoon.


Sunday, March 22, 2020

shayari on mohabbat

TUM HAMARE SAATH HO TOH



Vo kya hai ki, Kehtein hai na, Zindagi mein agar koi dard na ho toh zindagi adhoori padh jaati hai,
pyaar,mohabbat , ishq  hai yeh,koi khel nahi.
Tumhe dil se chaha hai maine, tumhe khone nahi,
zindagi ke har uss mode saath diya tha tumhne mera, aur jab logon ne ungli uthai, savaal pooche, toh teh karliya tumhne, ki ab yeh meri nahi. 
Unn logon pe savaal uthane ke wajah tumhne mujhpar uthaya.
kabhi wakt tha jab chota sa dard mere seene mein, tumhe chen ki neendh nahi aati thi,  wakt ne esa khel khela, dard bharpoor kardiya mujhme.
phir bhi haar nahi maana yeh dil, kaha mujhse ke,nahi yaar khuda par bharosa rakho, wahi tumhare andhere raston ka sahara bankar rahega.
Saath janmon ka bhandhan samjha tha maine, saal bhar mein hi khatam hojaye, Kise pata tha,
Dukh aur dard hi jeevan mein reh jaye, kisne khvaab kiya tha,
Chahe poori duniya tumhara saath kyun na de, mera sahara hameesha keliye tumhara, kaha tha na tumhne,
aur ab chahe poori duniya kyun na meri ho, toh bhi tum kabhi mere nahi,
Kismat ki baat hai yeh, apni marzhi nahi,
Kudrat ka khel hai yeh, koi ghin nahi,
Tum mere saath ho toh, koi shikayat nahi.





Saturday, March 21, 2020

Hindi Shayari on Mother

Meri Maa hai vo

Sahas aur sehan ka pratiroop hai vo, 
Balidaan ka akarshan hai vo, 
Dukh ke samay meri takat hai vo, 
Meri andhere ka prakash hai vo, 
Meri muskurahat ki wajah hai vo, 
Meri maa hai vo. 

सहस और सेहन का  प्रतिरूप है वो,
बलिदान का आकर्षण है वो,
दुःख  के समय मेरी ताकत है वो,
मेरी अँधेरे का प्रकाश है वो,
मेरी मुस्कराहट  की  वजह है वो,
मेरी माँ है वो।