Friday, April 10, 2020

Hindi shayari on Zindagi

ZINDAGI


Azeeb hai na yeh zindagi bhi hamaari,
Udhti patang ko choone ki khvaab,
Chalte megh ke saath chalne ki khvaab,
Unn naadaan parindon ki tarah udhne ki khvaab,
Gagan ko choone ki iccha,
Badti daud ke saath badhne ki iccha,
Aasma mein panchi bankar ghoomne ki iccha,
Kai badhaon ka saamna karte hue bhi,
chehre par muskuraahat,
Ye cheez humse na hogi jaante hue bhi,
Usi par tikhe rehna,
Kab kiska saamna karna pade, koi pata nahi,
Kaun apna, Kaun paraaya,Koi khata nahi,
Yahi zindagi hai apni,
Zindagi ka asli matlab jaane se pehle hi, Kai rukaavatein,
Kaun sahi,Kaun galat,Kaun jootha, Kaun saccha,
Ka koi jaankaari na hote hue bhi sab par bharosa karne ki abhyaas,
Yaarion ka mail, par apna kehne laayak koi nahi,
Sapno ka dher lekar chalte hai hum,
Yeh haasil nahi hua toh koi shikaayat nahi,
Magar humse mumkin na hogi,
Yeh kehna nahi.
  





































12 comments: