Monday, March 23, 2020

Hindi shayari on women

HAAN MEIN LADKI HOON


Samaaj kya kahega,log kya kahenge,tum muh dikhane layak nahi rahogi,log tum par hasenge,
ladki ho tum esa kaam kese kar sakti ho, Yaar bas bhi karo. Saans lene hi wali thi mein, lekin nahi, zindagi ne kaha ki tu ladki hai, yeh teri bas ki baat nahi. Abhi chutkara mil hi raha tha, sunne ko mila ki tumhari ladki, ladko wali harkat karti hai na,
Haan hoon mein ladki, magar hoon ek insaan hi toh,
Jeene ka hakh mujhe bhi hai,
Badne ka hakh mujhe bhi hai,
Naari ho mein, koi kaamwali nahi,
Sapne hai mere,koi khilona nahi,
Nayi ummidein hai mere, udhne ki,
Magar iss samaj mein khule aam jeene ka koi hakh nahi,
Sapno ka dher hai mere seene mein khedh,
dar lagta hai mujhe,sapne banne se pehle hi kahin vo lapata na hojaye,
Mera jeevan koi katputle jesa nahi,
mera jeevan hai, meri tarah,
Ghinn aati hai mujhe, taras aata hai mujhe, unn logon par, jinke paas apni zindagi se zyada meri zindagi ki parvah hai,
Phir dheere se aavaz aati hai aur mujhe kehti hai,
Ho tum ek ladki hi, magar uske saath kabiliyat, sahas aur dhayr ka dher hai tujhme,
Na jaane de ise khali haath,
Seena fhadke aaj keh hi de,
Haan mein ladki hoon.


5 comments: