Come and fall in love with Hindi Shayaris, poems and short stories on Pyaar, Mohabbat, Ishq, Zindagi(Life), Dosti(Friendship). This blog is all about true love on friendship,life and love.
Sunday, May 10, 2020
Wednesday, May 6, 2020
Hindi Shayari-Tum Ho
TUM HO
Door se dekho toh andhera chaya hua hai yahan,
Magar kareeb se,
Shayad vo andhera, andhera nahi,
Balki tum ho.
दूर से देखो तोह अँधेरा छाया हुआ है यहाँ ,
मगर करीब से ,
शायद वो अँधेरा , अँधेरा नहीं ,
बल्कि तुम हो।
Thursday, April 30, 2020
लव शायरी - Love Shayari in Hindi
SIRF TUMHARE LIYE
Haan! maana ki, apni duniya alag hai,
Maana ki apni gotr alag hai,
Maana ki apni seemayein alag hai,
Magar mera dil chahta hai toh sirf tumhe,
Mera dil dhadakta hai toh sirf tumhare liye.
हाँ! माना की ,अपनी दुनिया अलग है ,
माना की अपनी गोत्र अलग है ,
माना की अपनी सीमाएं अलग है ,
मगर मेरा दिल चाहता है तो सिर्फ तुम्हे ,
मेरा दिल धड़कता है तो सिर्फ तुम्हारे लिए।
Monday, April 27, 2020
Monday, April 20, 2020
Hindi Shayari-Dar Lagta Hai
DAR LAGTA HAI
Dar lagta hai mujhe,unn logon ke baton se,
Dar lagta hai, samaaj ke unn rivajon se,
Ghid-ghidata hai mera dil,cheekta hai,
Yun jese koi gardan kaat raha ho,
Muskurata hua yeh chehra aaj,
Rootha sa kyun hai,koi pata nahi,
Manane ko na koi aage mere,
Chod gaye sabh mujhe peeche,
Chal gaye yun apne-apne raastein,
Jese mera unse na koi vaasta,
Jab sahare ki zaroorat padi,
Toh sabhi nazarandaaz kar gaye,
Aree!esa kya kardiya mene,
Jo mein mooh dikhane laayak na rahi,
Duniya ke nazron mein,
Khaas kar apno ke nazron mein,
Kise bataun,Kya bataun,
Mera dil yun raat ko kyun jaage,
Hasmukh sa yeh mera chehra,
Nadaan sa yeh mera ji,kyun taras raha hai,
Kiss baat ki ghin hai,aur kiss baat ka bhoj,
Iska koi khata nahi,
Kese bayan karoon mein,
Mere aansuon ka raaz kya hai,
Bhaari sa mann,Ghumsum si baatein,
Yahi ab mera rozaana hai.
Thursday, April 16, 2020
Hindi Shayari- Haan Vo Ladki Hai
HAAN VO LADKI HAI
Vo choti si gudiya,
Nanhi si pari,
Papa ki laadli,
Maa ka bharosa,
Magar duniya ke nazron mein,
Ek izzat,
Ghar ki maryada,
Ek galati hai,
Haan vo ladki hai,
Ghutno ke upar pehni skirt,
Zluf khule,
Dupatta na odhe hue,
Seena chouda karke,
Aankon mein aankh milaye,
Haan vo ladki hai,
Zindagi ke fhesle khud lete,
Samaaj se ladtein-jagadhtein,
Sahi raastein chunte,badhte,
Aur khatin raston par khud ko savaartein,manaatein,
Haan vo ladki hai,
Shaadi ke baad khud ke hi ghar mein,
Rishtedaar bankar aana,
Maa-baap ke maryada ke liye apne sacche pyaar ko kurbaan dena,
Kisi bhi namumkin kaam ko mumkin kar dikhana,
Bhaari sa dil lekar chalna aur theek hone ka dikhawa karna,
Haan vo ladki hai.
Monday, April 13, 2020
Shayari on Life, Zindagi Shayari, Life Shayari
HAMARI ZINDAGI
Jab zindagi mein,Mohabbat karne wala koi nahi,
Toh zindagi se hi mohabbat karleni chahiye,
Zindagi ko gale lagaaein aur uska shukriya adha karein,
Kyunki asli naayak toh tum hi ho,
Kahaani tumhari jo hai,Na choone do tumhe koi,
Khud aapne zindagi ke lekhak bano,
Sapne dekho aur agar rukavatein aayi toh choka maaro,
Aur usse kaho ki yeh teri bas ki baat nahi,
Hamari zindagi,Hamari marzhi,
Dukh hamari,Chot hamari,
Darrar hamari,Tumhara koi hakh nahi,
Tumhare dhakalandaazi ki koi zaroorat nahi,
Haar ho ya jeet, Phaisla hamari,
Na jaane de ise bekaar,
Marte dum takh ji apni zindagi,
Na maan kabhi haar,
Teri hai yeh, Kisika koi hakh nahi.
Friday, April 10, 2020
Hindi shayari on Zindagi
ZINDAGI
Azeeb hai na yeh zindagi bhi hamaari,
Udhti patang ko choone ki khvaab,
Chalte megh ke saath chalne ki khvaab,
Unn naadaan parindon ki tarah udhne ki khvaab,
Gagan ko choone ki iccha,
Badti daud ke saath badhne ki iccha,
Aasma mein panchi bankar ghoomne ki iccha,
Kai badhaon ka saamna karte hue bhi,
chehre par muskuraahat,
Ye cheez humse na hogi jaante hue bhi,
Usi par tikhe rehna,
Kab kiska saamna karna pade, koi pata nahi,
Kaun apna, Kaun paraaya,Koi khata nahi,
Yahi zindagi hai apni,
Zindagi ka asli matlab jaane se pehle hi, Kai rukaavatein,
Kaun sahi,Kaun galat,Kaun jootha, Kaun saccha,
Ka koi jaankaari na hote hue bhi sab par bharosa karne ki abhyaas,
Yaarion ka mail, par apna kehne laayak koi nahi,
Sapno ka dher lekar chalte hai hum,
Yeh haasil nahi hua toh koi shikaayat nahi,
Magar humse mumkin na hogi,
Yeh kehna nahi.
Monday, April 6, 2020
Friday, April 3, 2020
Hindi shayari-Teri aanchal mein
TERI AANCHAL MEIN
Dard hai seene mein mere,
Hai apni yaadein kedh jinhmein,
Aashayein hai, Aazad panchi bankar, jeena hai mujhe,
Tere sangh,
Rehna hai mujhe tere sangh,
Bitani hai mujhe har ek pal teri bahon mein,
Kho jaun mein yu teri aanchal mein.
दर्द है सीने में मेरे ,
है अपनी यादें कैद जिन्हमें ,
आशाएं है ,आज़ाद पंछी बनकर, जीना है मुझे ,
तेरे संघ ,
रहना है मुझे तेरे संघ ,
बितानी है मुझे हर एक पल तेरी बाँहों में ,
खो जाऊँ में यु तेरी आँचल में।
Subscribe to:
Posts (Atom)









